Gali se ek ladki guzra karti thi

Uske chehre par naqab hua karta tha
Phir bhi us par ek ladka marta tha
Shayad woh use dilo jaan se chahata tha

Woh use baar baar kehta

"Muh se naqaab hata do apna chaand sa mukhda dekha do".

Par ladki ne muh se naqaab na hataya Ladke ko apna chehra na
dikhaya.



Kayi din beet gaye ladki ko woh ladka nazar na aaya

Ladki kuch pareshan si rehne lagi

Kisi tarah poochte poochte woh uske ghar pohochi.



Padosiyon ne kaha " Mohtarma, aap ko aane main thodi der ho gaye us
deewane ki to saat roz pehle hi maut ho gaye".



Padosi ne apna farz nibhaya ladki ko ladke ki qabr tak pohochaya,



Ladki zor zor se rone lagi apne aansuon se qabr ko dhone lagi



Tabhi kabar se ek aawaz aayi....



"Waqt waqt ki baat hai pehle tumhare chehre par naquab tha aur aaj
humare chehre par hai

This entry was posted on 2:32 AM and is filed under . You can leave a response and follow any responses to this entry through the Subscribe to: Post Comments (Atom) .

0 comments

Post a Comment