aysa nahi k tujh say mohabbat nahi hamain
gam roz roz sehnay ki adat nahi hamain

har bar teray samnay sir ko jhuka lia
or phir bhi dekh tujh say shikayat nahi hamain

tu aitbar kar kay tujhay chahte hain hum
teray siwa kese ki bhi chahat nahi hamain

hum jante hain tu bhi hay tanha hamare bin
oron say pochne ki zarurat nahi hamain

tu qatal bhi karay ga to aien gay teray pas
oron say dukh bhi kehnay say ragbat nahi hamain

kesay rahain gay bin teray ab baat man lay
teray bagair rehnay ki adat nahi hamain

bichra hay tu,to dil pay qayamat guzar gae
ab intezar roz qayamat nahi hamaian

hum har man lain gay muqabil jo aya tu
arman fatha-o-shoq shahadat nahi hamain

gar tu udass hay to kanwal bhi udass hay
ya mat samjh k tujh say mohabbat nahi hamain

This entry was posted on 1:22 AM . You can leave a response and follow any responses to this entry through the Subscribe to: Post Comments (Atom) .

0 comments

Post a Comment