Teri yaadon ke bina koi lamha guzaara nahin
ik pal nahin jab tumhe humne pukaara nahin

meri naakaamiyon ka itna bhi gam na kijiye
agar aap jeete hain to main haara nahin

ye naqsh-e-dard kaise utar jaaye chehre se
maine abhi aapka gam dil se utaara nahin

tere bin youn kat rahi dariya-e-zindagi mein
kashti bhi hai maajhi bhi hai,kinaara nahin

kar rakhaa hai jisne saare ghar mein ujaala
aansu hai mera ye koi toota hua taara nahin

kisko gale lagaa ke rooyen na-muraad hum
is bhari duniya mein apna koi sahaara nahin

mareez-e-ishq hai tamannai khudkushi ka ab
gehre hain dil ke zakhm,aur koi chaara nahin

wo aa ke poonchh den aansu hamari aankhon se
itna bhi hamare haq mein naseeb hamara nahin

itna hai bad-naseeb hai..yeh jahan.....
loota hai zindagi ne jise maut ne maara nah

This entry was posted on 1:24 AM . You can leave a response and follow any responses to this entry through the Subscribe to: Post Comments (Atom) .

0 comments

Post a Comment